Breaking News
Home / Beauty Tips / Water Benefits
benefits of water

Water Benefits

Water Benefits

Insani sehat ki liye pani ki bohat zeyada ehmiat ha. Pani ke munasib istemal se chehre ki khubsoorti ma bi izafa kiya ja skta ha. Khawateen chehre ki jild ko saaf suthra or shadab banane ke liye tarah tarah ke jatan karti hain ta ham sirf pani ke chand glass wo kam kar skte hain jin ke liye khawateen mehnge loshan or creams istemal karti hain. Pani hamari jild ko qudarti nami faraham karta ha or loshan ya deegar moisturizer se hasil hone wali nami iska makable nhi kar skti [water benefits]. Is maksad ke liye wakfey wakfey se pani peene ka aadat bana len. Maahireen ke mutabik sirf life style ma musbat tabdeeli la kar chehre ki taro tazgi bahaal ki ja skti ha. Agar apko raat dair tak jaagne or subah dair tak soney ki aadat ha to isey badlna ho ga. Raat jitni jald mumkin ho so jayen or subah sooraj nikalne se pehle beedar hon. Uthne ke baad sab se pehle kaam do glass pani peena ha. Iske baad ek ghante tak nashta karen. Pani hamesha khaney se qabal piyen ya khane ke doran chand ghoont pani pee len ta ham khana khatam karne ke baad pani peene se na sirf meda khrab hota ha balke jigar ke masail bi peda hote hain or yun chehre ki ronaq ma bi kami aa jati ha. Din ma kamzkam teen litre pani zaroor piyen. Koshish karen peyas lagne se pehle pani pee len. Din ma ek bar kisi bi waqt ek glass pani ma ek khane ka chamach cheeni or do chutki namak mix kar ke piyen. Is se na sirf tawanai bahaal rahe gi balke namkiyat ki kami bi kisi had tak puri ho gi. Pani se chehre dhona bi jild ki taro tazgi ma izafa karta ha. Garmiyon ke mosam ma kamzkam din ma paanch baar thandey pani se chehra zaroor dhoyen. Agar ap ki jild chikni ha to phir is bi zeyada baar chehra dhona mufeed rahe ga.

Water Benefits

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

honey for face

Honey Benefits for Skin

Honey Benefits for Skin Honey Skin Benefits   Shehad ma Allah ne intehai shafa rakhi ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *