Ajwain Benefits
Ajwain ke istemal se bara huwa pait kam ho jata ha. Ajwain ki char kismen dana ajwain, karafs, ajmood or kharasani ajwain ke naam se mashhoor ha. Jo sab se juda juda fawaid rakhti ha. Sab se zeyada khapat dana ajwain ki ha. Purane yunani hakeemon ne is sasti dawa ko amni research ma barhti hui pait ko kam karne wali, gas kam karne wali, kabaz door karne wali or meda anton ke fail ko tez kar ke bhook barhane wali pa kar apni farma kopia ma dakhil kiya hua ha. Sadion se dunya ke goshe goshe ma isey [ajwain benefits] ghareloo dawai ke tor pe istemal kiya jata ha. Tamey ki ajwain jo pait ke shadeed se shadeed dard ko minton ma khatam kar deti ha. Yunani hakeemon ke riwaj dene se sadion bhar se dunya bhar ma banai jati ha. Aj kal bi hamare mulk ma lakhon khandan saal bhar ke liye sabz bantal (tatma-kaloosanth) ma thora sa soorakh kar ke is ma jis kadar is ma ajwain sama sake thons thons kar bhar kar kata hua tukra tamay ke uper laga kar iske ird gird dhaga lapait kar dus bees din ma jab ajwain takhmey ka ras (pani) apne andar jazab kar ke phool jati ha to baaz mualij sirf ajwain ko or dusri ajwain ko bama takhmey ke androoni khushk chilkon ko pees kar saal bhar ke istemal ke liye sheeshon ma bhar kar sambhal rakhte hain.