Zubaida Apa K Totkay For Hair
Chamakdar Or Ghaney Baal
- Agar ap ke baal rookhey or be ronaq hain to anday ki safedi or zardi alag kar len. Zardi ko khoob phent kar is ma ek khane ka chamcha pani mila den. Phir zardi or safedi ko mila kar khoob achi tarah phent len or baalon ma unglion ki madad se malish kar ke lagayen. Adhe ghante bad thande pani se dho len.
- Adrak ka tail baalon ki afzasih ke liye boht mufeed ha. Isey ap ghar ma bi bna skti hain. Ek khaney ka chamcha taza adrak pees kar malmal ke kapre ma dalen or is ka araq nichor len. Jab takreeban 1/4 chaye ke chamche ke brabar ho ga. Phir is araq ko 1/4 peyali til ke tail ma dal kar blend karen. Baalon ki jaron ma is tail ka roz masaj karen or 15 minute bad shampoo kar len. Is amal se ap ke baal saaf or mazboot ho jayen ge. Ye totka behteen “zubaida apa k totkay for hair” ma shamil hai.