Summer Makeup
Summer Makeup Tips
Mosam-e-garma bi mosam-e-sarma ki tarha mukhtalif kisam ke beauty tips ke mutkazi hota ha. Garmiyon ma ap ka eyeshadow papoton per pighal kar grees ban jata hai. Ap ke bal khushk or khurdrey ho jate hain or ap ki rangat ap ki jild ki rangat ke muqable ma bohat khrab nazar aney lagti ha or ap pareshan ho kar beauty parlor ka rukh karti hain. Is mosam ma agar ap balon ki cutting karwa len to boht behtar ho ga. Kyun ke garmi ma sab se zeyada pareshani lambe balon ki hoti ha. Is habs zada mosam ma balon ma chip chip shuru ho jati ha. Agar tail lagaya jaye to is se bi bal khrab hote hain. Isi liye is mosam ma bal chotey hi ache rehte hain. Agar ap makeup ke beghair bahir nhi nikalna chahti or foundation ke beghair zindagi ko be maksad samjti hain to ap is season ma foundation ko bhool jayen or tintade moisturiser istemal karen. Agar ap ek bar is ka istemal kar len gi to is garam mosam ma ap foundation ko bilkul bhool jayen gi or isi moisturiser ko tarjeeh den gi. Kyun ke ye foundation se halka hota ha magar is ke bawjood ye jild ki khamiyon ko chupa deta ha. Or ap ko asey nhi lagta ke ap ne chehre kar kake laga rakha ha. Foundation waqat guzarne ke sath pighalne lagta ha jab ke moisturiser ke sath asa nhi ha. Is ma SPF ko bator juzv istemal kiya gya ha. Agar ap is mosam ma apne nakhunon ki numaish karna chahti hain to nakhunon per bright color lagayen. Is garam mosam ma bright pink color boht zabrdast rehta ha or ye nakhunon per khoob jachta hai. Khas kar agar jild ki rangat bar akas ho to or bi roshan nazar aye ga. Ye behtreen summer makeup tips hain.