Sheikh Saadi Quotes in Urdu
Sheikh Saadi Quotes
Sheikh Saadi farmate hain:
Taleem insan ko bolna to sikha deti ha
magar ye nahi sikhati
ke kab, kahan or kitna bolna ha.
Sheikh Saadi Sayings
Is se to khamoshi behtar ha
ke kisi ko dil ki baat keh kar phir is ko kaha jaye ke kisi ko na kehna.
Best Sheikh Saadi Quotes in Urdu
Apne hissey ka kaam kiye beghair dua per bharosa karna hamaqat ha
Or apni mehnat per bhrosa kar ke dua se garez karna takabbur ha.
Quotes of Sheikh Saadi
Apne ikhlaq ko phool jesa bana lo
Or kuch nahi to paas bethne wala khushboo to haasil kare.
Hikayat-e-Saadi
Jahilon ka tarika ya ha ki
Jab un ki daleel muqabil ke agay nahi chalti
To wo larna shuru kar dete hain.
Quotes of Sheikh Saadi in Urdu
Kisi ko itna pyar do ke gunjaish na choro
Agar phir bi wo tumhara na ban sake to usey chor do
Kyun ke wo mohabbat ka talabgaar hi nahi balke wo
Zaroorat ka pujari ha.
Sheikh Saadi Hikayat in Urdu
Agar chiriyon ma ittehad ho jaye
To wo sher ki khaal utaar sakti hain.
Hikayat-e-Saadi in Urdu
Agar zindagi itni hi achi hoti
To koi bi dunya ma rotey huwe na ata.
Hikayat Saadi
Sheikh saadi farmatey hain:
Main ne ek nek shakhs ko darya ke kinare dekha jis ko ek cheetey ne zakhmi kar diya tha
or is ka zakhm kisi dawa se acha na hota tha. Or wo arsa daraz se is takleef ma mubtala tha
magar har waqt Allah ka shukar ada karta tha. Logon ne is se pucha ke shukar kis bat ka ada
karte ho? Us ne jawab diya, is liye ke “museebat ma mubtala hun na ke gunah ma.