Shawarma Recipe in Urdu
Shawarma Recipe
Ajzaa:
Chicken: 750 gram
Dahi: Ek cup
Sirka: 1/4 cup
Lehsan: 2 Joye
Kaali mirch: Ek chaye ka chamach
Namak: Hasb-e-zaroorat
Hari Elaichi: 2 adad
Leemu ka rus: Hasb-e-zaroorat
Sos banane ke liye ajzaa:
Til ka paste: Ek cup
Lehsan: 2 joye
Leemu ka rus: 1/4 cup
Dahi: 4 khane ke chamach
Peta bread: 4 adad
Bareek kata kheera: Hasb-e-zaroorat
Kati peyaz: Hasb-e-zaroorat
Tamatar: Hasb-e-zaroorat
Laal mirch paste ke liye: Hasb-e-zaroorat
Kashmiri mirch: 6 adad
Zeera: Ek chaye ka chamach
Tarkeeb:
Kahmiri mirch or zeera le kar is ko pani ma bhigo len. is ke bad blendar ma blend kar len, mirch paste tyar ha. Chicken ko tamam masala jaat mila kar laga len or phir grill kar len. Pakne ka baad chotey chotey tukron ma kaat len or sos ma mila len. Ab peta bread per chilli paste laga len or chicken ke tukrey or zaitoon ka tail dalen or is ko roll kar len. Ghar ki mazedar shawarma recipe tyar ha.