Shami Kabab Recipe
Shami Kabab Recipe in Urdu
Ajzaa:
Gaye ka gosht: Ek kilo (boti banwa len)
Chaney ki daal: Ek peyali
Safed zeera: Ek chaye ka chamacha
Seyah zeera: Adha chaye ka chamcha
Lehsan ke joye: 12 adad
Kali mirch sabit: 12 adad
Adrak: Ek tukra
Sabat dhaniya: Ek chaye ka chamcha
Bari elaichi: 4 adad
Daar cheeni: Ek chota sa tukra
Namak: Hasb-e-zaiqa
Dahi: Ek khaney ka chamcha
Anda: Ek adad
Kabab ma bharne ya milane wale masaley:
Podeena: Ek ghatthi (bareek kata hua)
Hara dhaniya: Ek ghatthi (bareek kata hua)
Adrak bareek kati hui: 2 khaney ke chamach
Peyaz: 2 dali (aamlet ki peyaz ki tarah kaat len)
Tail: Hasb-e-zaroorat
Tarkeeb:
Gosht ko dho kar sab cheezon ke sath ubalen. jab gosht achi tarah ghal jaye to dahi mila den. Gosht ko khoob bareek pees kar hath se achi tarah ghoond len or sath ma anda bi mila den. Ab hara masala mila kar kabab bana len. Ghee ya tail ma fry karne or jab golden brown ho jaye to nikal kar kisi tissue per rakh den ta ke chiknai jazb ho jaye. Tasty shami kabab recipe tyar hai. Garma garam parathon ke sath serve karen.