Radish Benefits
Radish Health Benefits
Mooli (Radish) jisey salaad ka lazmi hisa samja jata hai. Dar asal poday ki jar ha. Is ka zaiqa kuch tez, teekha or mithas liye huwe hota ha. Jab ke is ma ras ki miqdar bi zeyada hoti ha. Ye sabzi surakh, safed, bengni ya seyah rang ma gajar jesi lambootri ya chuqandar ki tarah gol shakal ma dasteyab hoti ha. Inhen kacha ya paka kar ya achar ki soorat ma bi khaya jata hai. Is ke patton ma jar ki nisbat zeyada vitamin C hota ha. Mooli ke beej se nikala jana wala tail bi tibbi maqasad ma istemal hota hai. Mukhtalif amraaz ke liye mooli ke bohat se fawayed hain. Un radish benefits ke bare ma janne ke liye neeche parhen.