Nail Tips
Nail Care Tips
- Apne nakhnon ko hamesha saf or khushk rakhen.
- Nakhunon ko katne ke liye hamesha tez dhar nail cutter istemal karen.
- Nakhun kattey waqt cutical ka kheyal rakhen or sahi banawat se katen.
- Peron ko nakhunon ko naram banane ke liye rozana garam namkeen pani ma peron ko daboyen.
- Nakhunon ko tarashen or moisturising cream se masag karen.
- Nahane ke bad stick se apne cutical ko peeche se agey tak dabayen.
- Apni ghaza ma multi vitamin or dahi ka istemal karen.
- Tez washing soda, na munasin ghaza or bohat zeydad nakhun barhane se garez karen.
- Nakhunon ko chamak ke liye in ke gird sarson ya narial ke garam tail ka masag karen.
- Nakhun tezi se bharane ke liye gajar or iron ka istemal zeyada karen.
- Nail polish ka zeyada istemal cutical ko khrab or khushk kar deta hai.
- Nakhun ko naram or mulayem banane ke liye rozana sabun ke pani ma hath daboyen.
- Leemu or narangi ka juice peene se nakhun mazboot hote hain. Ye sab behtreen nail tips ma shamil hain.