Makafaat
By Naheed Sultana Akhtar
Najeeb general asptal shehar ki ek mashhoor shahrah per lab-e-sarak astada ek seh manzala amarat ki peshani per ye teen alfaz har atey jatey ko apni taraf matwaja rakhte. Raat ko ye alfaz jagmaga uthte or sapeeda sehar phelne tak jagmagate hi rehte. Kabhi ye amarat sirf ground floor per huwa karti thi magar ab is ke teen floors the. Kabhi ye begum mehsood ali khan ki malkiat huwa karti thi (romantic novels). Ab doctor najeeb is ke malik the. Begum mehsood ali khan ka doctor najeeb se na to koi rishta nata tha or na unhon na apni ya malkiat doctor najeeb ko farokht ki thi. Kabhi kabhhi asa bi hota ha ke jo cheez ap ki nahi hoti ap ki ban jati ha. Malik ki den…..is ki nazre karam……. or kabhi kabhi yun bi hota ha ke jo cheez ap ki hoti ha ap se chin jati hai. Uper wala hi janey kab kisey kya dena ha or kab kis se apni koi nemat wapis leni ha. Is milne or cheenney ma malik ki raza apni jaga magar kuch dosh ko bandey ka bi hota ho ga. Doctor najeeb ki zindagi ka safar nehayat ghurbat ma shuru hua tha Baap railway station per qulli tha. Maa railway quartron ma ghar ghar ja kar chotey motey kam karti thi jis ke awaz isey in gharon se basi khana, purane kapre or thorey bohat pesey mil jatey. Teeb bachey the ek beta najeeb or do is se choti behnen. Station ke nazdeek sarkari sakool tha jahan teeno behan bhai parhne jaya karte the………………Ye mukammal romantic urdu novles parhne ke liye neeche visit karen.