Khansi Ka Ilaj
Khansi Ka Ilaj in Urdu
- Char bare chamchey ki mikdar dhaniya ke beej ek fry pain ma brown kar len. Phir isey char cup pani ma adrak ke chare kate huwe tukron ke sath is waqt tak ubalen ke pani 2 cup reh jaye. Is ke bad isey chan len or wakfey wakfey se piyen. Ye behtreen khansi ka ilaj ha.
- Shehad mila kar lehsan ka sharbat tyar karen. Is ke peene se infection khatam hone ke ilawa khoon ki safai bi ho gi.
- Shehad ma leemu ka rus mila kar peene se khansi kam ho gi or shafa yabi ki raftar tez ho gi.
- Rai ya sarson ke beej ke safof ma thora sa pani mila kar laip tyar kar len or isey seeney per lagayen. Khansi ma aram mile ga (khansi ka ilaj in urdu). Is tarah peyaz ko bhoon kar is ki lep banayen or isey neem garam kar ke seeney per lagayen ya peyaz ki yakhni bana kar piyen to balgham kharij ho ga or jakra hua seena dheela ho ga.
- Sadi chaye ma podeeney ke patton ko josh de kar peene se bi khansi ma fayda hota ha.
- Jari bootiyon wali chaye ma agar malethi ki jarr ko bi pani se naram kar ke shamil kiya jaye to mufeed ha.
- Khush or galey ma khrash dalne wali khansi ma afakey ke liye sonf of jangi cheeri ki chaal ko ubaal kar piyen.
- Kholtey huwe pani ma yokliptus oil ke chand qatery dal kar agar bhaap bazriya saans andar li jaye to bi afaka hota hai (khansi ka gharelu ilaj).
- Loban ya sandal ki lakri ki lep tyar ke seeney or peeth ki malish karen.
- Darkhton se hasil hone wali ek or gond se banaya hua tail balgham ke ikhraj ma madad karta ha.