Breaking News
Home / Pakistani Food / Karahi Gosht
karahi gosht

Karahi Gosht

Karahi Gosht

Karahi Gosht Recipe

 

Ajzaa:

Bakray ka gosht: Ek kilo (choti botiyan karwa len)

Adrak: Hasb-e-zaroorat (kati hui)

Peyaz: 2 adad

Tamatar: 5 se 6 adad

Dahi phenta hua: Ek peyali

Lehsan pisa hua: 2 khaney ke chamach

Lal mirch pisi hui: Ek chamach

Haldi: Ek khaney ka chamach

Garam masala: Pisa hua

Hari mirch: Hasb-e-zaroorat

Safed zeera: Hasb-e-zaroorat

Tez pat: 2 se 3 adad

Cooking oil: Hasb-e-zaroorat

 

Tarkeeb:

Karahi ma oil ko 4 se 5 minute garam kar ke tez pat dalen. Ek minute bad peyaz dal den or halka sa naram hone tak fry karen. Adrak, lehsan, haldi or zeera dal kar 2 se 3 minute tak chamach chalayen or phir tamatar dal den. Achi tarah mila kar namak or lal mirch shamil karen or tamataron ko mukammal galne tak pakayen. Phir gosht or dahi dal kar achi tarah milayen or dhak kar halki aanch per itni der pakayen ke ghee alag nazar aney lage. Hari mirchen, hara dhaniya, adrak or garam masala dal kar halki aanch per 5 se 7 minute dum per rakh kar choolhey se utar len. Mazedar karahi gosht recipe tyar hai.

 

Karahi Gosht Recipe in Urdu

 

karahi gosht recipe in urdu

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

degi biryani

Degi Biryani

Degi Biryani Degi Biryani Recipe   Ajzaa: Gosht: Derh kilo Chaawal (Saila): Ek kilo Ghee: ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *