How to Lose Weight
How to Lose Weight in Urdu
Mahreen ne wazan ko kam karne [how to lose weight] or isey control karne ke liye darj zail be had aasan or saada tarikey tajweez kiye hain jinhen apna kar ap bi apna wazan kam kar sakte hain:
- Jab bi khana khayen salaad waghera ka khasoosi ahtmam karen ta ke roti or chawal waghera ki jagah ap in se apna pait bhar saken.
- Asi khoorak khayen jis ma kam calories hon.
- Sirf us waqt khayen jab ap ko is ki zaroorat ho.
- Ghaza ko jism ka indhan kheyal karen.
- Hamesh beth kar khayen, chaltey phirtey na khayen.
- Khaney ke doran na mutaleya karen or na TV dekhen.
- Bahir jayen to ice cream ya mithai na khayen.
- Ye yaad rakhen ap ne kya or kab khaya tha.
- Beghair malai ka doodh istemal karen.
- Chaye kaafi ke waqfey ko khaney ka waqfa banayen.
- Biscuit, cake, mithayi chor den ye cheezan wazan ma izafa karti hain.
- Ghar ma phal or asi cheezon ka stock rakhen jin ma chiknai, namak or shakar kam ho.
- Hamesha beghair charbi ka gosht khayen.
- Hamesha choti plate ma khana khayen.
- Din ma do se zeyada bar khana na khayen.
- Ek waqt ka khana sirf ek baar khayen.
- Mashroob ma pani ki miqdaar bharayen.
- Khaney se pehle pani zaroor piyen.