Hasil Kasht o Khoon
By Misbah Ali
Ruki hui barsat ki selan ma habas bharta ja rha tha. Wahan per mojood jam ghafeer ne ghutan mazeed barha di. Sanwley, gehrey sanwley, gorey, bachey, bhurhey, jawan, oran, mard sab tarha ke log mojood the. Asa lagta tha aj sara shehar musafi bana addey per aa ruka hai. Rerhiyan, theley, be hangum awazen or rush, is rush ko cheerti mukhtaran us ka hath thamey tezi se lari ki simat barh rahi thi (romantic novels). Wo ek hath ma choti si ghathri or dusrey hath ma ghoonghat sambhaley khenchti gai. Masi mukhtaran ka bas na chalta tha ke wo ek qadam uthaye or urh kar apni bhateji zohra ke pas pohanch jaye. Is se judi ke lamhat soch soch kar awaz bharra jati, ankhen barasne lagti. Anbala se kasur hijrat ki waqt is ka kafla do hisson ma bat gya tha. Pakistan aa kar koi kahen koi kahen pohanch gya. Bohat milne ki koshish ki lakin Allah ko manzoor na tha. Khandan ki takreeban sabhi logon ka pta chal gya tha lakin zohra or us ki maa ka kuch pta na chala. 4 sal bad kisi be btaya ke wo Bahawalpur ki kisi mandar numa haweli ma dekhi gai hain……………….. Ye mukammal romantic urdu novels parhne ke liye neeche visit karen.