Haqeeqat
By Irfan Izhaar
Hi honey main ghar aa gaya hoon .
Jorg ne apna brief case aik kursi par or chabiyan driving ki anik kitchen ki maiz par rakhte hoe kaha .
Main yaha hoon dear . zara counter par rakha howa creep paper to mere pass le ao .
Jorg ne jab garesi ko living room ki khirki k samne aik serdhi par mojood paya to chalet chalet ruk gaya .
Garesi tumhara bazoo tumhein maloom hai k doctor ne tumhein is bare mein ihtiyaat karne ko kaha hai .
Oh wo burdah pagal . garesi ne haqarat bhare lehje mein kaha . wo to chahta hai k main bistar pe pari rahoon . or din bhar koi kaam na karoun . mera bazoo acha ho gaya hai . ye dekho is ne apna bazoo upar uthate hoe kaha . or phir khirki k upri kinare k qaraib paper ka parda lagane ka amal barqarar rakha [urdu stories] . or mera baqiya jisam is se kahi zeyada tezi se sehat yaab ho chukka hai .
Chalo theek par tum kaam karne k mamle mein had se zeyada tajawaz na karna . Jorge ne na sahana lehje mein kaha .
Garesi ne nazrein utha kar Jorge ki taraf dekha or is ki fikar mandi par be sakhta hasne lagi . tum bilkul na ghabrao . safai suthrai or khane pakane k kaam main umdgi se kar rahi hoon to ye choti serdhi mujhe koi nuqsaan nahi de gi .
Jorge ne karaib paper garesi ko thama diya or piche hut kar is ko dekhne laga . ye umda tasur de raha hai lekin tum ye undrouni sajawat keoun kar rahi ho .
Jorge urther filton please mujh se ye mat kehna k tum bhool chuke ho is saal hum hello van block party ki maiz bani kar rahe hain .
Haqeeqat kahani mazeed parhne ya download karne ke liye neeche click karen.
Click here to read or download haqeeqat