Hand Care Tips
Hand Care Tips in Urdu
Hathon Ki Hifazat Ke Liye Chand Totkay
- Raat soney se pehle glasrin or arq-e-gulab mila kar hathon ka masaaj karen.
- Anday ki safedi ma phatkari mix kar ke nakhunon or kohniyon per malen, mail saaf ho jaye ga.
- Sakht or khurdare hath mulayem karne ke liye petrolium jelly ma carbolic acid mila kar masaaj karen.
- Nakhunon ki safai ke liye roghan-e-badaam ma safed iodine mila kar is ma rooi bhigo kar nakhun saf karen. Ye sab behtreen hand care tips hain.
Hathon Ki Hifazat Ke Liye Ghareelo Cream
- Ek anday ke safedi ma 1/2 choti bottle glasrin ki or itni hi mikdar shehad ki mila len. Phir pisi hui jawaar inti milayen ke cream ki tarha ka paste ban jaye. Is se hathon ka masaaj karen.
- Ek anday ki zardi ma adha cup roghan-e-badaam mix kar len. Phir is ma ek chamach arq-e-gulab, 1/2 chamach tankture or ek leemu ka rus mila kar achi tarha phent len. Isey bottle ma bhar len or subha sham hathon ka masaaj karen.