Green Tea
Green Tea Benefits
Garmiyon ke mosam ma har cheez halki phulki achi lagti ha. Khana, Libaas, Mahol, Chaye. Gharz har wo cheez achi lagti ha jo tabiat pe bhari na ho. Sabz chaye [green tea] asa hi mashroob ha jo zaiqey ma acha or sehat ke liye intehaai mufeed ha. Sabz chaye lemon or shehad ke sath boht khush zaiqa lagti ha. Nai tehqeeq ke mutabiq sabz chaye diet karne walon ke liye bi boht faydey mand hoti ha. American journal of clinical nutrition ma shaya hone wali ek research ke mutabiq wo afraad jo apni roz marra ki khuraak ma sabz chaye ka istemal karte hain inhen zeyada calories jalane ma bi boht madad milti ha. Na sirf ye balke sabz chaye [green tea benefits] food poisining or danton ma palaak ka sabab banne wale bacteria ke khilaf bi mazahmat karti ha. Garma garam sabz chaye calories jalati ha to ice sabz chaye garmion ke mosam ma thandak ka ehsas dilati ha.