Ghazal Poem
Chalo Phir Dhoond Lete Hain
Chalo phir dhoond lete hain usi naadan bachpan ko
Unhi masoom khushiyon ko unhi rangeen lamhon ko
Jahan gham ka pata na tha jahan dukh ki samjh na thi
Jahan bas muskurahat thi or baharen hi baharen thi
Ke jab sawan barsta tha to us kaghaz ki kashti ko
Banana or phir dabo dena bohat acha sa lagta tha
Or is dunya ka har chehra bohat sacha sa lagta tha
Chalo phir dhoond lete hain usi naadan bachpan ko
Unhi masoom khushiyon ko unhi rangeen lamhon ko
(Ghazal Poem)