Falooda Recipe
Ajzaa:
Corn flour: 4 ons
Doodh: Ek kilo
Shakkar: Hasb-e-zaiqa
Rooh kewra: Ek choti sheeshi
Baraf: Hasb-e-zaroorat
Sabza ya balango ke beej: Adha chaye ka chamcha
Baalai: Ek peyali
Tarkeeb:
Corn flour ko ek peyali pani ma achi tarah ghol len. Phir degchi ma dal kar 10 minute tak dheemi aanch per pakayen. Ek degchi ma thanda pani len. Is per chalni rakh kar paka hua corn flour chalni ma dal kar hath se dabayen. Corn flour neeche rakhi hui chalni se sawaiyyon ki tarah gire ga. Is ko pani hi ma rehne den. Shakkar or doodh ko ek bartan ma dal kar dheemi aanch per pakayen. Thanda hone per is ma sawaiyyan, baalai, rooh kewra, baraf or sabza ke beej jo pehle se bhigoye hon dal den. Mazedar falooda recipe tyar hai. Ek glass ma pehle thori si tyar shuda laal color ki jeely dalen. Uper se falooda dal kar pesh karen.
Falooda Recipe in Urdu