Dry Hair Tips
Dry Hair Care Tips
Khushk balon ke ilaj ki liye multani mitti len. Mitti ko bareek kar ke ek bartan ma rakh len or pani ma dabo den. Mitti naram ho jaye to narial ke garam tail ma shamil kar len. Ab is se bal ragar kar dho len. Ye amal sardiyon or garmiyon dono mosmon ke liye behtreen ha. Kyun ke multani mitti narial ke tail ma mil kar or bi mufeed ho jati hai. Is se dimagh or ankhon ko thandak pohnchti ha. Is ke bad ek anda le kar isey phent len. Is ma chand qatrey leemu or narial ka tail shamil karen. Ab is mehlool se sir ka masaaj karen. Jaron ma halke halke lagayen or adhe ghante tak hathon se malish karti rahen. Bachey huwe is mehlool ma sika kai bi shamil kar den. Or is ke bad balon ko dho len. Is se balon ki khushki ke sath sath balon ka rookha pan bi door ho jaye ga or bal resham ki tarha naram-o-mulayem nazar ayen ge. Ye behtreen dry hair tips hain.