Degi Biryani
Degi Biryani Recipe
Ajzaa:
Gosht: Derh kilo
Chaawal (Saila): Ek kilo
Ghee: Ek cup
Peyaz: 2 se 3 adad
Longen: 15 adad
Seyah mirchen: 15 adad
Tez pat: 2 adad
Lehsan adrak paste: 2 khaney ke chamach
Namak: Hasb-e-zaiqa
Hari mirchen (kati hui): 2 khaney ke chamach
Lehsan adrak (bareek kata hua): 2 khaney ke chamach
Elaichi powder: Ek khaney ka chamach
Bari elaichi: 6 adad
Jaifal jawetri powder: Ek chothai chaye ka chamach
Zardey ka rang: Ek chothai chaye ka chamach
Kewra: 2 khaney ke chamach
Cheeni: Ek chaye ka chamach
Dahi: Adha kilo
Raita: Serving ke liye
Lal chatni: Serving ke liye
Tarkeeb:
Saila chawlon ko dho kar 2 se 3 ghanton ke liye pani ma bhigo den. Is ka bad chawlon ma namak, 5 adad longen, tez pat, 2 adad bari elaichiyan shamil kar ke ubal len. Ek kani reh jaye to utar kar pani nithar den. Ek pateeli ma ghee garam kar ke is ma bareek kati hui peyaz fry karen. Jab peyaz sunehri ho jaye to lehsan adrak paste,namak, kati hui hari mirchen, longen or seyah mirchen shamil kar ke do teen bar chamcha chalayen. Phir gosht shamil karen or isey bi chand minute tak bhoonney ke bad pani dalen or dhak ka gosht galney tak pakayen. Jab gosht gal jaye to is ma dahi, cheeni, elaichi powder, jaifal jawetri powder or kewra shamil kar ke halki aanch per itni der choolhey per rakhenjab tak ke dahi ka pani khushk na ho jaye. Is ke bad choolha band kar den. Ab salan ke uper ubley huwe chawal dalen or thorey se doodh ma zardey ka rang ghol kar chirak den. Garam tawey ke uper pateeli rakh kar 10 se 12 minute ke liye dum lagayen. Mazedar degi biryani recipe tyar hai. Raitey or lal chatni ke hamrah pesh karen.