Dahi Aloo Recipe
Ajza:
Aloo: Adha kilo
Dahi: Ek pao
Safed zeera: Ek chamach
Namak: Hasb-e-zaiqa
Surakh mirch: Ek chaye ka chamach
Haldi pisi hui: Adha chaye ka chamach
Hari mirchen: Hasb-e-zaroorat
Cooking oil: Adha cup
Hara dhaniya bareek kata hua: Hasb-e-zaroorat
Tarkeeb:
Sab se pehle tamam aloo ko cube ki shakal ma kat len. Phir ek degchi ma cooking oil garam kar ke is ma zeera dal den. Zeera jab seyah hone lage to is ma dahi, haldi, namak, surakh mirch dal kar achi tarah bhoonen. Jab ghee uper aa jaye to is ma cube ki shakal ma katey gaye aloo dal kar uper se kati hui hari mirchen chirak den or phir teen char minute ke liye is dum per lga den. Mazedar dahi aloo recipe tyar hai. Dum ho jaye to hara dhaniya or dahi dal kar garma garam chapati ya naan ke sath pesh karen.