Cycling Benefits
Exercise Cycle Benefits
Cycling karen or fit rahen. ye behtreen exercise hoti ha. Mazi ma log itne sehal nhi hote the or jismani mashaqqat ke aadi the lakin aj ki nasal boht sehal ho gai ha. Mazi ma log gari ki bjaye cycle chalane ke aadi the jo in ko fit rakhti thi. Cycle [cycling benefits] ki madad se boht achi exercise ho jati ha. Cycle chalane ki madad se pure jism ma khoon ka dorania barh jata ha. Cycling ko cordio exercise kha jata ha is ki madad se boht zeyada fit rha ja skta ha. Cycling ki madad se jism ki boht charbi pighal jati ha or blood pressure smait boht si beemarion se bach ja skta ha. Is ki madad se zayabeets jesi beemari se bi mehfooz kiya ja skta ha. Mahreen ke matabiq kam se kam tees minute rozana cycle chalane se heart attack se mehfooz rha ja skta ha. Mozooda dor ma jis tarah beemarian barh rahi hain isi tarah logon ko shaoor ata ja rha ha or wo exercise karna shuru ho gaye hain. 76 percent British mustakil buneyadon per warzish karte hain ta ham sirf 8 percent afraad is liye warzish karte hain ke ye dilchasp amal hota ha. Mutharrik hone ki sab se bari waja wazan kam karna [exercise cycle benefits] ya phir munasib wazan barqarar rakhna ha. 37 Percent afraad motapa kam karne ke liye mustakil buneyadon`per warzish karte hain. Ghair shadi shuda logon ki taadad dugni ha jo ke acha nazar aney ke liye warzish karte hain. 30 minute rozana ki pasandeeda warzishon ma walking 48 percent, baghbani 23 percent, gym ma jismani warzishen 12 percent, cycling 10 percent or swimming 9 percent shamil hain.