Chicken Chow Mein
Chicken Chow Mein Recipe
Ajzaa:
Chicken (beghair haddi ke): Adha kilo (chotey chotey tukrey kar len)
Soya sos: 3 khaney ke chamach
Corn flour: Ek chaye ka chamach
Hari peyaz ke pattey: Ek peyali (bareek katey huwe)
Peyaz: Ek dali (bareek kati hui)
Kali mirch pisi hui: Ek chaye ka chamach
Band gobhi: Ek phool (bareek lambai ma kati hui)
Shimla mirch: 3 adad (bareek lambai ma kati hui)
Bean sprouts: Ek payali
Tail: Char khaney ke chamach
Chicken cubes: 2 adad
Safed sirka: 3 khaney ke chamach
Chicken cube mila hua meda: Adha khaney ka chamach
Namak: Hasb-e-zaiqa
Cheeni: Ek chaye ka chamach
Safed mirch pisi hui: Ek chaye ka chamach
Gajar: 3 adad (bareek kati hui)
Adrak lehsan pisa hua: Ek chaye ka chamach
Noodles: Ek packet
Til ka tail: Chand qatrey
Tarkeeb:
Sab se pehle chicken ma ek chamach sirka, ek chamach soya sos, namak or corn flour mila kar adhe ghante ke liye rakh den. Ek bari degchi ma khoob dher sara pani garam karen. Jab pani kholne lage to noodles dal den. Sath ma ek chamach tail dal den. Jab noodels gal jayen to chalni se chaan len. Foran hi thande pani se noodles ko uper neeche kar ke dho len or ek chaye ka chmach tail mila den ta ke noodles chipak na jayen. Ab ek bari karahi ma tail garam karen. Peyaz dal kar halki gulabi kar len. Adrak lehsan dal kar halka sa bhoon kar chicken dal den. Jab pani khushk ho jaye to sabzian or cubes dal den. Phir soya sos, sirka, namak, kali safed mirch, meda or cheeni dal kar 5 minute tak bhoon len. Phir noodles daal kar mix karen or beans sprout or pattey daal den. Tasty chicken chow mein recipe tyar hai. Til ka tail daal kar garma garam khane ke liye pesh karen.