Beghairat Kahen Ki
By Adrees Masih
Mujhe lajo didi bohat pasand thi. Or ye baat bhi apni jagah haqiqat thi k maine apni sari zindgi mein lajo didi se zeyada dheet orat koi nahi dekhi. Ajeeb orat thi bilkul metti ka madhoo. Sass popla mun bhar bhar k galiyan baka karti thi. Nandein alag beizat karti thin. Shohar k to jote hi is k sar pe tootti thin. Magar majjal hai k uff bhi kar jaye. Jab dekho kabhi sar khujaye lamba jharoo pakre dehleez dhoo rahi hai. Kabhi kapre dhoo dhoo kar chat pe sukha rahi hai. Abhi lall mirchein sukha rahi hai [sachi kahani]. Abhi chawal chun rahi hai. Abhi daal ghoot rahi hai. Main jab bhi wahan se guzarta khule darwaze se kouch na kouch karti hi nazar aati. Aik kamre ka to ghar tha. Jonti didi se mujhe koi hamdardi nahi thi. Tai amma kehti hai k maine in k bachoon ko batmeezi sikhai hai. Mera dil chahta hai k main didi ko bhi thori batmeezi sikha doon. Ta k jab bhi us kali bhains jesi sass jab gali mein khari ho kar sabzi khareede to is k mote nagay pait par aik kankar hi maar de. Ham din bhar sunte k lajo didi ko pukar ya lanat phatkar hoti rehti [urdu sachi kahani]. Meri amma kaha karti k wo loog hindu hain. In k ghar nhi jaya karo. Wo chote bachoon ko kaat kar bhagwaan ko bali dete hain. Shuru shuru mein main bhi dar gaya tha. Mere zehan mein kale pathar ki bani mourti ati jis ki lambi zubaan se khoon tapak raha hota. Or ankein dehshat se ubal parti. Rafta rafta ye dar bhi khatam ho gaya or maine amma ki baat ko ahmiyat dena choor diya. K esa kaha hota hai bhala……………Mazeed kahani Parhne ya download karne ke liye neeche click karen.