Beef Nihari Recipe
Beef Nihari
Ajzaa:
Beef leg: Ek kilo (bare tukron ma kati hui)
Lehsan ka paste: Ek khaney ka chamach
Adrak ka paste: Ek khaney ka chamach
Sonf powder: 3 khaney ke chamach
Garam masala powder: Ek khaney ka chamach
Zeera powder: Ek khaney ka chamach
Namak: Derh khaney ka chamach
Aata: 5 khaney ke chamach
Hari mirch: 8 adad
Hara dhaniya: Ek gaddi
Lal mirch: 2 khaney ke chamach (pisi hui)
Haldi: Adha chaye ka chamach
Adrak: 5 khaney ke chamach (kati hui)
Oil: Adha cup
Pani: Hasb-e-zaroorat
Tarkeeb:
Tail garam kar ke is ma adrak lehsan paste or gosht ko dus minute fry karen. Phir pisi lal mirch, haldi or namak shamil kar ke 5 minute fry karen. Is ke bad derh litre pani dal kar ubal aney per dhak kar derh ghante tak pakne den yahan tak ke gosht gal jaye. Ab gosht nikal kar shorbey ma pisa sonf, zeera powder or garam masala shamil karen. Phir aatey ko pani ma mila kar is ma shamil karen or hilate jayen. Gaarha ho jaye to is ma dobara gosht dal kar halki aanch per bees minute tak pakayen. Tasty beef nihari recipe tyar hai. Isey hari mirch, hara dhaniya or adrak ke sath serve karen.