Anda Gravy Recipe
Ajzaa:
Anday: 8 adad
Oil: Ek cup
Peyaz: Ek adad
Lehsan adrak ka paste: 2 khaney ke chamach
Lal mirch pisi hui: 2 khaney ke chamach
Haldi: Ek khaney ka chamach
Namak: Ek khaney ka chamach
Dahi: Ek cup
Tamatar paste: Ek Cup
Garam masala: Adha chaye ka chamach
Dhaniya kuta hua: Ek chothai chaye ka chamach
Tarkeeb:
Andey ubal kar rakh len. Pateli ma oil dalen or peyaz halka sa bhoonen. Ab is ma adrak lehsan ka paste, pisi lal mirch, haldi or namak shamil kar ke dahi or tamatar paste ki madad se masala bhoon len. Jab oil masala chor den to is ke andar anday, garam masala powder, kuta dhaniya or zeera shamil kar ke dam den. Anda gravy recipe tyar hone per garam garam pesh karen.
Anda Gravy Recipe in Urdu