Aloo Keema
Aloo Keema Recipe
Ajzaa:
Keema: Adha kilo
Aloo: Ek pao
Peyaz: Adha pao
Dahi: Adha pao
Tamatar: 3 adad
Lehsan adrak ka paste: Ek khane ka chamach
Namak: Hasb-e-zaiqa
Surakh mirch powder: Ek khaney ka chamach
Dhaniya powder: Ek khaney ka chamach
Haldi powder: Ek chaye ka chamach
Pisa hua garam masala: Adha chaye ka chamach
Hari mirch: 6 adad
Hara dhaniya: Chand pattiyan
Cooking oil: Ek cup
Tarkeeb:
Kisi bartan ma oil garma kar ke chokor katey huwe aloo ke tukrey fry kar ke nikal len. Bareek kati hui peyaz isi oil ma bhoonen. Peyaz sunehri hone per keema achi tarah dho kar dal den. 5 minute tak bhoonne ke bad tamam masale or bareek katey huwe tamatar daal kar halki aanch per pakne den or pani bilkul na dalen. 10 se 15 minute ke bad lehsan adrak ka paste dal kar keemey ko 5 minute tak achi tarah bhoonen or dahi bi shamil kar den. Bhoonne ke bad aloo or bareek kati hui hari mirch daal kar 10 minute ke liye dum per rakh den. Mazedar aloo keem recipe tyar hai. Is ke uper sabz dhaniya daal kar khane ke liye pesh karen.