Benefits of Aloe Vera
Aloe Vera Benefits
Aloe vera, ghekwaar ya kanwar gandal ek asa poda hai jo apne andar be shumar tibbi fawayed ka khazana liye huwe hai. Europe ma ki jane wali tehqeeq ke mutabik is ke godey Aloin ma boht se tibbi khawaas paye jate hain jin ma se kuch aloe vera benefits darj zail hain.
- Ye jildi amraaz, medey ki kharabi, daant ka dard, baal jharney ya sir ki khushki, joron or pathon ki takleef, aarayesh-e-husan or deegar kai maqasid ke liye istemal kiya jata hai.
- Is ke fawayed ki pesh-e-nazar aj kal ghazai supplement ke tor pe bi is ka istemal kiya ja rha hai.
- Isi tarah cosmetic sazi ma bi is ke istemal [aloe vera uses] ma din ba din izafa ho raha hai.
- Jigar or tali ki beemariyon ma is ke godey ko boht hi shafa bakhsh tasawwar kiya jata hai.
- Ye mutaddid ghadoodon ko faaal banane ma bi muawan hai [benefits of aloe vera].
- Ek pattey ka goda kaley namak or adrak ke sath rozana subah dus din tak istemal karna jigar ki khrabi ke liye mufeed hai.
- Nazla, zukam or khansi ma bhooney huwe patton ka juice shehad ke sath lena behtreen ilaj hai.
- Aloe vera kamar dard or joron ke dard ma afaqa deti hai. is ke mosar ilaj ke liye rozana ek pattey ka goda khana mufeed hai.