Ahmed Faraz Poetry
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Aankh se door na ho dil se utar jaye ga
Waqt ka kya ha guzarta ha guzar jaye ga
Itna manoos na ho khalwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bi dekhe ga to dar jaye ga
Tum sar-e-raah wafa dekhte reh jao ge
Or wo baam-e-rafaqat se utar jaye ga
Zindagi teri ata ha to ye jane wala
Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaye ga
Doobte Doobte kashti ko uchala de doon
Ma nahi koi to sahil pe utar jaye ga
Zabt lazim ha magar dukha ha qayamat ka faraz
Zalim ab ke bi na roye ga to mar jaye ga
(Ahmed Faraz Poetry)