Aam Ka Achar
Aam Ka Achar Banane Ka Tarika
Ajzaa:
Kachey aam: 2 1/2 KG (Dhai kilogram)
Namak: 250 gram
Raai: 60 gram
Haldi: 60 gram
Sonth: 30 gram
Kalwanji: 30 gram
Methi ke beej: 60 gram
Surkh mirch: 60 gram
Heeng: 6 gram
Sonf: 30 gram
Sarson ka tail: Hasb-e-zaroorat
Tarkeeb:
Aamon ko dho kar khushk kar len or in ki char char phanken is tarha se karen ke wo ek tarha se jurri rahen. Phankon se guthliyan nikal kar phenk den. Methi ke siwa tamam masalon ko koot len or in ma thora sa tail dal kar maleeda sa bana len. Aam ki phankon ma masala bhar kar kisi martban ma rakhti jayen. Baki masala or methi bi martban ma dal kar dhankna band kar ke mu per kapra bhand den or martban ko dhoop ma rakh den. Roz hila kar dekhti rahen. Pani achi tarha khushk ho jaye to is ma itna sarson ka tail dalen ke aam ke tukrey is ma doob jayen. Mazedar aam ka achar char panch din ke wakfey ke bad istemal ke qabil ho jaye ga.