Breaking News
Home / Romantic Novels / Yar-e-Man Biya
baar2

Yar-e-Man Biya

Yar-e-Man Biya

By Ammar Masood

 

Jab hum dono pehle bar mile to us waqt tak dono hi apni zindai ke pehli pehli mohabbat bhugat chuke the (romantic novels). Mohabbat ke safar ma tootey huwe log ek dusrey ko asey pehchan lete hain jese sitare jal bhujne se pehle dusrey sitaron ka hal jan lete hain. Mohabbat ka ibtdai ghao is surat se war karta hai ke sare manzar ek nazar ma ayan ho jate hain. Dil ma chupaya hua zakham ek washgaf sachai ki tarha asey noshta dewar ban jata ha ke dekhne wale per sara hal wazeha ho jata hai. Magar ye nazar har kisi ko naseeb nhi hoti. Tootney wale ka dukh wohi janta ha jo kabhi khud toot kar bikhra ho. Asey logon ke samne jab dil ke bat lafz banti ha to kinti be wuqat se lagti ha. Mere sath ho hua jane us ne kese pehli nazar ma jan liya tha. Barhti hui shave, bikhre hue bal or government college ki seerhiyan. Ma hath ma course ki ek asi kitab thamey jis ke tamam haroof mere liye ajnabi the. Us ek mohabbat ka matam kar rha tha jisey khone ke bad yun lagta tha ke ab safha zeest per kisi or abarat ki gunjaish na reh gai ho. Mera wajood jis zalzalay se dochar hua tha is ne mere andar bari tor phor ki thi. Mere is hal se wakif sirf main tha. Mohabbat ka ye sog muje itna aziz tha ke main is ma kisi or ko shareek nhi kar skta tha……………..Ye mukammal romantic urdu novels parhne ke liye neeche visit karen.

Download (PDF, 195KB)

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

Jab Wafa Mile

Kisi Raha Ki Chah Mein

Kisi Raha Ki Chah Mein By Naeem Naaz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *