Breaking News
Home / Health Tips / Strawberry Benefits
strawberry

Strawberry Benefits

Strawberry Benefits

Strawberry Health Benefits

 

Strawberry kisey achi nhi lagti. Bachey khas tor per isey shoq se khana pasand karte hain. Phir chahe wo strawbeery cake hon, biscuits, candies ya phir kuch or. Har cheez ma strawberry flavor bachon ko aram se pasand aa jate hain. Strawberry tamam phalon ma wahid phal ha jis ka beej is ke chilkey ma hota hai. Ye khush numa surakh rangat ki badolat dekhne ma jitni khoobsurat ha itni hi khaney ma lazeez. Is ka zaiqa kuch khatta lakin mazedar hota ha. Ye puri dunya ma pasand ki jati ha. Mosam ke hisab se is ki kasht dunya ke kai mumalik ma ki jati ha. Jis ma France qabil-e-zikar ha. Be shumar strawberry benefits darj zail hain:

  • Ek strawberry ma kam se kam 13% RDA Diatry fiber mojood hote hain. Ye nizam-e-inhizam ke liye be had mufeed ha. Is ke sath hi ye blood pressure ko kam karne ma madad deti hai.
  • Strawberry chemical compound fenol ka majmooa bi rakhti ha. Jo ke anti oxident ke tor per kam karta hai. Ye anti oxident ap ke pure jisam ma Urik acid ki mikdar ko zeyada banne nhi deti jis se ap bhook mehsus karte hain. Is liye asey afrad jinhen bhook na lagti ho is ka zeyada istemal karen.
  • Strawbeery ma mojood anti inflamentri ke zarrat ap ki hadiyon ko bemariyon se door rakhte hain. Jese asto arthrites, Arethroclerosas waghera.
  • Vitamin C ki mojoodgi zahir karti ha ke strawberry ma boht si bemariyon ke liye shafa rakhi gai ha. Anti oxident or anti flametri ki mojudgi cancer ke khilaf quwat-e-madafat peda karti hai.
  • Rozana 3 se 4 strawberries khane se insan ki nazar kamzor hone se bachi rehti hai.
  • Strawberries ma magnissium mojood hota ha jis se hadiyan kamzor hone se bachi rehti hain. Is ma mojood potassium, vitamin k or magnissium hadiyon ko tandrust rakhne ma eham kirdar ada karte hain.
  • March or aprial ma strawberries ki tadad boht zeyada hoti ha is liye ye aram se dasteyab bi ho jati hain. Is ka shake be had lazeez hota ha. Is ke elawa strawberries flavor ice cream flavors ma 3rd number per ha. Jo vanilla or pista flavor ke bad be had pasand kiya jata hai.
  • Chehre ki shadabi ke liye is ka mask behtreen sabit ho ga. Is ke elawa bi strawberries ka istemal jitna ho ske karen. Ye chehre ki shadabi ke sath khoon saf karti hai.
  • Kai mahreen ne tehqeeq se ye bat sabit ki ha ke blood sugar ke liye strawberries ka istemal be had mufeed sabit hota ha. Ye tamam behtreen benefits of strawberries ma shamil hain.

 

Benefits of Strawberries

strawberry benefits

benefits of strawberries

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

sugar ka ilaj

Shugar Ka Ilaj

Sugar Ka Ilaj Ajza: Lehsan desi chila hua: Adha chatank Adrak desi sabz: Ek chatank ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *