Breaking News
Home / Hair Tips / Onion For Hair
onion benefits for hair

Onion For Hair

Onion For Hair

Onion Juice For Hair

 

Peyaz na sirf hamare khanon ma lazat or zaiqey ko bharata ha balke ye hamre balon ki sehat ke liye bi ek akseeri nuskhey ki hasiat rakhta hai. Do se char adad darmeyane size ke surakh peyaz len. Inhen cheel kar kadoo kash karen or malmal ke kaprey se chan kar is ka araq kasheed kar len. Is araq ko apne sir per lagayen. Balon ki jaron ma khoob achi tarha is ka masaaj karen or kam se kam 15 minute or zeyada se zeyada ek ghante tak apne sir ki jild ma is araq ko laga rehne den. Is ke bad balon ko shampoo se dho kar saf kre len. Lakin agar ap ki ankhen jalen lagen or in se musalsal pani behne se ap ko pareshani ho rahi ho or ap sir ma is araq ko lagane se hichkicha rahi hon to ek dusra tarika ye bi ha ke ap 4 se 5 peyaz ko chop kar len. Ek litre pani ubalen. Is ma chop ki hui peyaz dal kar 5 se 10 minute tak pakayen. Choolhey se utar kar pani ko thanda hone den. Is ke bad isey chan kar alag rakh len. Or shampoo karne ke bad is pani se balon ko dhoyen. Agar ap peyaz ki boo bardasht kar skti hain to phir is mixture ko kamzkam ek din tak sir ma laga rehne den or dusrey din shampoo kar ke baal dho len. Lakin agar ye boo bi ap ke liye naqabal-e-bardasht ha to bi kamzkam ek se do ghante bad hi balon ko shampoo kar ke saf kar len. Balon ki sehat or dilkashi ke liye peyaz ke araq ma mojood salfar jesa maadan na sirf in ki growth ma izafa ha balke in ki chamam damak ko bi ek khas nikhar bakhshta hai. Ye aala tareen onion for hair benefits ma shamil hain.

 

Onion Benefits For Hair

onion for hair

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

homemade anti dandruff shampoo

Natural Anti Dandruff Shampoo

Natural Anti Dandruff Shampoo   Ajzaa: Anday ki zardi: 2 adad Garam pani: 350 mili ...

Leave a Reply to Anonymous Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *