Mohsin Naqvi Poetry
Mohsin Naqvi Sad Poetry
Bharkayen meri peyas ko aksar teri aankhen
Sehra mera chehra ha samundar teri aankhen
Phir kon bhala daad tabassum unhen de ga
Royen gi bohat mujh se bichar kar teri aankhen
Bojhal nazar aati ha bazahir muje lakin
Khulti hain boht dil ma utar kar teri aankhen
Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mitta
Bheegi hui ek sham ka manzir teri aankhen
Mumkin ho to ek taza ghazal or bi keh lun
Phir orh na len khwab ki chadar teri aankhen
Yun dekhte rehna usey acha nahi Mohsin
Wo kaanch ka pekar ha or pathar teri aankhen
Sad Poetry By Mohsin Naqvi
Karey safar ma agar rasta badlna tha
To ibtada ma mere sath hi na chalna tha
Kuch is liye bi to sooraj zameen pe utra ha
Pahariyon pe jami barf ko pighalna tha
Utar ke dil ma lahoo zehar kar gya aakhir
Wo saanp jis ko meri aasteen ma palna tha
Ye kya ke tohmaten atish fishan ke sir ayen
Zameen ko yun bi khazana kabhi ugalna tha
Main laghzishon se atey rastey pe chal nikla
Tujhe ganwa ke mujhe phir kahan sambhalna tha
Ajab naseen tha Mohsin ke baad marg mujhe
Charagh ban ke khud apni lehad pe jalna tha
Sad Poetry of Mohsin Naqvi
Kabhi kabhi…..
Kabhi kabhi to tere dukh ke zard patton ko
Saba ki god ma khushboo ne loriyan di hain
Kabhi kabhi to mujhe tu ne saans lene ko
Khud apni saans ke resham ki doriyan di hain
Sad Poetry Mohsin Naqvi
Bichar ke mujh se kabhi tu ne ye bi socha ha
Adhoora chand bi kitna udaas lagta ha
Ye khatm wasal ka lamha ha, rayegan na samjh
Ke is ke baad wohi dooriyon ka sehra ha
Kuch or der na jharna udasiyon ke shajar
Kise khabar tere saaye ma kon bethta ha
Usey ganwa ke main zinda hun is tarah Mohsin
Ke jese tez hawa ma charagh jalta ha
Mohsin Naqvi Sad Ghazals
Kabhi jo char gai yaad-e-raftgan Mohsin
Bikhar gai hain nigahen kahan kahan Mohsin
Hawa ne raakh urai to dil ko yaad aya
Ke jal bhujen mere khwabon ki bastiyan Mohsin
Kuch asey ghar bi miley jin ma ghoongton ke awaz
Hui hain dafan dupatton ma larkiyan Mohsin
Khandar ha ehd-e-guzashta na choo na cher isey
Khulen to band na hon is ki khirkiyan Mohsin
Bujha ha kon sitara ke apni aankh ke sath
Huwe hain sare manazir duwan duwan Mohsin
Nahi ke us ne ganwaye hain maah-o-saal apne
Tamam umar kati yun bi rayegan Mohsin
Mila to or bi taqseem kar gya mujh ko
Sametni thi jisey meri kirchiyan Mohsin
Kahen se us ne bi tora ha khud se rabt-e-wafa
Kahen se bhool gya ma bi daastan Mohsin