Ghazal Urdu
Kabhi Socha Tum Ne
Ishq sehra ha ke dareya kabhi socha tum ne
Tujh se kya ha mera naata kabhi socha tum ne
Han ma tanha hu ye iqrar bi karta hu
Magar kis ne kiya ha tanha kabhi socha tum ne
Ye alag baat ha ke jataya nhi ma ne tujh ko
Warna kitna tujh ko ha chaha kabhi socha tum ne
Tujhe awaz likha, phool likha, pyar bi likha
Ma ne kya kya tujhe likha kabhi socha tum ne
Mutmain hun tujhe lafzon ki hararat de kar
Ma ne tumhe kitna socha zaid kabhi socha tum ne