Aik dafa ka zikar hai k kisi gaoun mein aik choudry rehta tha. Is k pass aik mulazam bhi rahaishe pazeer tha jo k mirasi tha. Malik or nokar aik esi sust ul wajood qoom se taluq rakhte thay. Jo theray hoye pur sakoon mizaaj ki malik thi. Or aaj ka kaam kal par chorne ki aadi thi. Aik din choudry pakore khane k baad akhbar se bane lafafe ka moatalea karne mein masroof tha kis ne khabar pari k mehkma zraat ne jadeed pavind kari k zariye kharbooze ka esa beej ijaad kiya hai jo dugni fasal deta hai. Choudry ne sare mulazam ikhte kiye or naye beej k bare mein baat kibaat cheet ki kai nishteein jari rahi. Akhir aik saal baad naya beej bone ka faisla ho gaya. Fasal bone ka mosam qareeb aya to choudry ne mirasi mulaazam ko beej lene shehar bheeja. Mirasi lari pe taveel safar kar k shehar pohncha to thkawat se choor tha. Wo shehar mein apne aik azeez k ghar gaya k chand din araam kar k safar ki thkaan door kare or beej khareed kar wapsi ka qasad kare. Mirasi ko shehar mein mukhtlif azeezoon or dostoon k pass araam karte hoye aik saal guzar gaya. Jab doobara kharbooza kasht karne ka mosam aya to choudry ko mirasi ka khayaal aya. Choudry ne aik or mulaazam ko shehar bheeja ta k mirasi ko dhoond kar laye. Dar asal choudry ko rawait se hat kar fasal bone ki jaldi par gait hi. Nokar ne bari mushkil se mirasi ko shehar mein talaash kiya or choudry ka pegaam diya. Mirasi beej ki bori uthaye jab gaoun pohncha to barish ho rahi thi. Wo haveeli k gate pe pohncha to bori sameet gir gaya.
Funny Kahani ‘’Jald Bazi Ka Anjaam’’ Mazeed Parhne Ya Download Karne k Liye Neeche Click Karein.