Breaking News
Home / Hair Tips / Ganjapan Ka Ilaj
ganjapan

Ganjapan Ka Ilaj

Ganjapan

Ganjapan Ka Ilaj

 

Aj hum ap ko peyaz ki us khasoosiyat se agah karne ja rhe hain jo na sirf ap ke balon ko girne se rokti hai balke girey huwe bal wapis lane ma bi mawun sabit hoti hai. Or is ka koi muzar sehat pehloo bi nahi ha. Ap peyaz ka joos nikal kar isey sir per laga skte hain ya phir isey deegar jari bootiyon ma mila kar bi istemal kiya ja skta ha. Peyaz ma salfar wafar mikdar ma paya jata ha. Jo khopri ma lagane se doran-e-khoon ko behtar banata ha or is se colgane tissues ki pedawar ma bi izafa hota hai. Jo balon ki nashonuma ma behtar kirdar ada karte hain. Ap juicer machine ke zariye peyaz ka ras nikal skte hain. Ya phir 4 se 5 katey huwe peyaz pani ma 10 minute tak ubal kar pani ko thanda kar ke chaan len or balon ma shampoo karne ke bad istemal karen. Agar ap peyaz ki boo bardasht kar skte hain to sara din bi ye juice sir per laga rehne den. Lakin agar ap ko is se pareshani hoti ha to ek ghante bad saf pani se sir ko dho len.

Ganjapan ke liye peyaz cheel kar kuchal len. Or isey shehad ma mila kar khoob achi tarha mix kar ke jahan bal ugane hon us jild ko khurdarey kapre se ragar kar laip karen. Ganjapan ka aarza khatam ho jaye ga. Is maksad ke liye ye boht hi saree-ul asar nuskha hai.

 

Ganjapan Ka Ilaj in Urdu

ganjapan ka ilaj

ganjapan ka ilaj in urdu

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

homemade anti dandruff shampoo

Natural Anti Dandruff Shampoo

Natural Anti Dandruff Shampoo   Ajzaa: Anday ki zardi: 2 adad Garam pani: 350 mili ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *