Breaking News
Home / Dessert Recipes / Gajar Ka Halwa
gajar ka halwa

Gajar Ka Halwa

Gajar Ka Halwa

Gajar Ka Halwa Recipe in Urdu

 

Ajzaa:

Gajar: Ek kilo (bareek kadoo kash kar len)

Khushk doodh: 3 peyali

Cheeni: 2 peyali

Choti elaichi: 6 adad (2 chamach cheeni ke sath pees len)

Sajane ke liye mewa:

Badaam, pista: 10, 10 adad (garam pani ma bhigo kar chilka utar len or bareek kat len)

Chandi ki waraq: 4 adad

Akhrot ki giri:  8 ya 10 daney (bareek kat len)

Ghee: Ek khana pakane ka chamcha

 

Tarkeeb:

Gajron ko kadoo kash kar ke bhaap de den or kuchal len. Bilkul khushk kar len. Phir ek degchi ma ghee garam kar ke elaichi dal den. Thori der bad gajren or doodh dal kar ahista ahista bhoonen. Yahan tak ke brown hona shuru ho jaye. Phir cheeni or akhrot dal den. Jab sheera khushk hone lage or taar banne lage to utar kar ek thali ma chiknai laga kar halwa phela den. Uper se mewa dal den or chandi ke waraq se saja den. Mazedar gajar ka halwa tyar hai.

gajar ka halwa recipe in urdu

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

gulab jamun recipe

Gulab Jamun recipe

Gulab Jamun Gulab Jamun Recipe   Ajzaa: Khushk doodh: Ek peyali Sooji: Adhi peyali Meda: ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *