Faraz poetry
Faraz Ab Koi Soda koi Janoon Bi Nahi
Faraza ab koi soda koi janoon bi nahi
Magar qarar se din kat rahe hon yun bi nahi
Lab-o-dehan bi mila guftgu ka fun bi mila
Magar jo dil pe guzarti ha keh sakun bi nahi
Meri zuban ki laknat se bad guman na ho
Jo tu kahe to tujhe umar bhar milun bi nahi
Faraz jese koi diya tarbat-e-hawa chahe
Tu pas aye to mumkin ha main rahun bi nahi
(Faraz poetry)