Breaking News
Home / Medical Information / Dengue Fever
dengue mosquito

Dengue Fever

Dengue Fever

Dengue Fever Symptoms

Dengue Fever Treatment

Punjab smait Pakistan ke deegar ilakon ma aj kal dengue fever ki shikayat aam ho rhi ha. Bad-qismati se is ki waja munasib aagahi or hifazti tadabeer ka na hona ha or ek aam se bimari mohlik or khatarnak soorat ikhtiyar kar leti ha. Darasal dengue ek infection ha jo ek khas virus ki waja se hota ha. Ye bimari ek makhsoos mada macchhar ke katney se phelti ha jis ki tangen aam macchhron ki nisbat zara lambi hoti hain. Kisi mutasira shakhs ko katney se ye virus is macchhar ma aa jata ha or is ke bad agar ye macchhar kisi dusre shakhs ko kaat le to ye virus us ma muntaqil ho jata ha. Dengue bukhar amooman un logon ma zeyada hota ha jin ki quwat-e-mudafat kamzor hoti ha. char mukhtalif qisam ke virus insano ma dengue bukhar [dengue fever symptoms] ka baais bante hain. Ek qisam ke virus ka hamla sirf ek bar hi ho skta ha. Dusri martaba dengue bukhar dusri qisam ke virus se ho skta ha or yun zindagi ma kisi bi shakhs ko zeyada se zeyada char martaba ye aarza la haq ho skta ha. Dengue bukhar ka dusra naam break bone fever bi ha. Isey ye naam is liye diya jat ha ke is bukhar ke doran haddiyon or patthhon ma itna shadeed dard hota ha ke haddiyan toootti hui mehsoos hoti hain or ye marhala kafi takleef deh hota ha. Ye bimari garam or neem garam ilaqon ma pai jati ha or dunya bhar ma 10 crore se zayed afraad har saal is se mustasir hote hain. Ta hum bar waqt ilaj [dengue fever treatment] se is marz se seht yabi ka tanasub boht zeyada ha or 99 feesad mareez is se mukammal tor per sehat yab ho jate hain yani ek feesad se bi kam logon ma ye mohlik shakal ikhtiyar karta ha………………..mazeed parhne ke liye neeche click karen.

dengue fever

dengue fever symptoms

dengue fever treatment

dengue

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *