Breaking News
Home / Pakistani Food / Chicken Korma Recipe
chicken korma

Chicken Korma Recipe

Chicken Korma Recipe

Chicken Korma Recipe in Urdu

 

Ajzaa:

Chicken: Ek kilo

Makkhan: 5 chahye ke chamach

Dar cheeni: 5 tukrey

Lehsan adrak ka paste: 3 khaney ke chamach

Laal mirch: 2 khaney ke chamach

Baadam pisey huwe: Adha cup

Peyaz bareek kate huwe: 3 cup

Haldi: Ek chaye ka chamach

Namak: Hasb-e-zaiqa

Kewra: Chand katrey

Hari mirchen: 6 adad

Tail: 2 khaney ke chamach

Tez paat: Ek patta

Hari elaichi: 10 adad

Dahi: 4 khaney ke chamach

Javetri powder: Do khaney ke chamach

Long: 5 adad

Cream: 2 cup

Hara dhaniya: Hasb-e-zaroorat

Baadam, kaaju, kishmish (sajawat ke liye): Hasb-e-zaroorat

Makkhan: Talne ke liye

 

Tarkeeb:

Tail or makkhan ko ek pain ma garam kar ke is ma tez paat , dar cheeni, long or elaichi ko kuch der bhoonen. Phir is ma peyaz daal kar kuch der ke liye fry karen. Is ke baad adrak, lehsan, haldi, laal mirch, namak, pisey huwe baadam or dahi ko phent kar dalen. Darmeyani aanch per dus minute pakayen. Jab masala bhun jaye or tail uper aa jaye to chicken daal kar 15 minute fry karen. Jab chicken pak jaye to cream, hari mirchen, javetri or kewra dalen or chand minute ke liye dam per rakh den. Makkhan ma baadam, kaju or kishmish ko tal kar nikal len or qormey ke uper daal den. Saath hi dhaniye ke pattey daal den. Mazedar chicken korma recipe tyar hai.

chicken korma recipe

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

degi biryani

Degi Biryani

Degi Biryani Degi Biryani Recipe   Ajzaa: Gosht: Derh kilo Chaawal (Saila): Ek kilo Ghee: ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *