Chicken Haleem
Chicken Haleem Recipe
Ajzaa:
Gehun: Ek pao
Chaney ki dal: Adha pao
Chicken: 3 pao
Dahi: Adhi peyali
Surakh mirch pisi hui: 2 chaye ke chamach
Kali mirch pisi hui: Adha chaye ka chamach
Mix pisa garam masala: Adha chaye ka chamach
Haldi: Adha chaye ka chamach
Namak: Ek chaye ka chamach
Oil: Adha pao
Tez pat: 2 chotey tukrey
Peyaz bareek kati hui: 4 adad (2 peyaz chicken or 2 fry kar ke haleem ki garnish ke liye)
Hara dhaniya, hari mirch or adrak: Thora sa bareek kata hua
Tarkeeb:
Gehun or chaney ki dal ko dho kar rat bhar ke liye bhigo den. Subha gehun or dal ma ek chutki namak or 2 khaney ke chmach oil dal kar galney ke liye charha den. Jab gal jaye or garha ho jaye to blend kar len. Agar haleem ma kharey daney ache lagte hon to gehun or chaney ki dal alag alag kar ke galne ke liye charhayen. Dal blend kar len or gehun jab galne per ho to us ma adha chaye ka chamach baking powder dal den. Gehun ghul kar mil jaye ga phir chicken ka korma dal kar ghont len. Chicken ko dho kar ek glass pani dal kar gala len. Ab chicken ki yakhni agar bachi ho to wo alag kar ke chicken ke reshey kar len. Hadi nikal den or 2 peyaz sunehri mayel fry karen. Ab is ma resha ki hui chicken, yakhni or baki masale dal kar itna bhoonen ke yakhni khushk ho jaye or oil nazar aney lage. Ab ye chicken blend kiye huwe gehun ma dalen or achi tarha mix kar ke pakayen ke haleem garhi ho jaye. Tasty chicken haleem recipe tyar hai. Ab ek peyale ma haleem nikal kar us per hara dhaniya, hari mirch or fry ki hui peyaz dal kar serve karen.