Breaking News
badla

Badla

Badla

By Hajra Rehan

Or ab is lamhe . hn is waqt main badla le sakti hoon . mere zehan mein aik hi soch ubhri or is k sath khulte chale gaye mazi k darwaze . . . . mujhe sab yaad ane laga . . . . kis tarha is ne apni maa k sath mil kar mere bachpan mein meri khudari or ana ko choot pohnchai thi . meri umer hi keya thi magar in dono maa beti ko reham na aya . mujhe tab se hi azizah or is ki waldah abda anti se shaded nafrat ho gait hi . or main dil hi dil mein aise hi kisi moqay ki talaash mein thi . or aaj meri qismat mujh pe mehrbaan ho gai hi . maine jab in k ghar mein pehli bar qadam rakha tha . to Azizah ikloti hone k sabab mujhe dekh kar khushi se bichi ja rahi thi . Abda anti or ami bachpan ki dost thi . or kai saal baad dono akthi hoi thi . Ami or Abda anti in logon k bare se drawing room k aik kone mein bethi aik doosre se gile shikway karne mein masroof ho gai thi . jab k Azizah kamre k doosre sire par mere samne apne tamaam khalone penci , color , drawing book or apni almari mein mojood har qisam ka samaan mere samne la kar bikeerti ja rahi thi . or phir bhi kami mehsoos kar rahi thi . or jabke main apne tor par ahsase kamtri mein gum hoti chali ja rahi thi . saaf zahir tha Abda anti or hamare ghar or rehan sehan mein zameen asmaan ka farq tha . maine Ami ki taraf dekha or wok is tarah apne ird gird har cheez se paise ki jhalak tapakti mehsoos kar k apni dost se khush gapioyn mein masroof thi .mazeed parhne ke liye neeche click karen.

Click below to read online or download this full story.

Download (PDF, 1.38MB)

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

Izat Daar

Izat Daar

Izat Daar By Rabiya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *