Breaking News
Home / Romantic Stories / Baanjh Kumharan
baanjh kumharan

Baanjh Kumharan

Baanjh Kumharan

By Um Shamama

Sar sabz khetoon k beech bani pagdandi par urne wali gard ne kinare se lage safaide k lambe lambe darakhtoon k kaan mein sargoshi ki k koi aa raha hai . or thori dair mein ghore k pairoon ki makhsoos tak tak aik tange k roop mein pagdandi par namoo dar hoi . age aik bhoora kochwaan bagain haath mein thame itminaan se betha tha . sare raste is k dekhe bhale thay . or ye is ka rooz ka mamool tha . piche aik larki chadar ki bukal mare bethi thi . or is k hathoon mein kouch kitabein thi . sath aik bhoori orat bethi mohtaat or harasan nazroon se idhr oudhar dekh rahi thi . tanga lari ade ki taraf rawan dawan tha . tange k piche bethi bhoori orat kumhar ilam deen ki bivi thi . or chadar ki bukal mare kitaboon ko sine se lagae sanmbhale bethi larki kumhar ilam deen ki ikloti beti Heer thi . jo gaoun se 10 jamatein parhne k baad shehar mein bane collage parhne jati thi . rooz jab molvi bang deta ilam deen in dono maa beti ko rawana kar deta .  or khud apne kaam mein jut jata . sare pind ki mukhalfat mool le kar wo apni beti ko parha raha tha . ilam deen iklota kumhar tha . wo padaishi nabeena tha . magar is jaise matti k bartan ass pass k gaoun mein bhi koi nahi bana sakta tha . gaoun wale is ki bari qadar karte thay . Abba tu dekhe bagair itne ache bartan kaise banal eta hai . dhi rani jab Rab sohna bande se koi aik naimat leta hai to badle mein ise kai or naimtein de deta hai . mazeed parhne ke liye neeche click karen.

Click below to read online or download this full story.

Download (PDF, 1.2MB)

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

Izat Daar

Izat Daar

Izat Daar By Rabiya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *