Ahmed Faraz Shayari
Silsilay Tor Gya Wo Sabhi Jatey Jatey
Silsilay tor gya wo sabhi jatey jatey
Warna intey to marasam the ke atey jatey
Shikwa zulmat-e-shab se to kahen behtar tha
Apne hissey ki koi shama jalatey jatey
Kitna aasan tha tere hijar ma marna jaanan
Phir bi ek umar lagi jan se jatey jatey
Jashan muqtal hi na barpa huwa warna hum bi
Pabjolan hi sahi nachtey gatey jatey
Us ki wo jane usey paas-e-wafa tha ke na tha
Tum faraz apni taraf se to nibhate jatey
(Ahmed Faraz Shayari)