Breaking News
Home / Hair Tips / Homemade Shampoo
home made shampoo

Homemade Shampoo

Homemade Shampoo

 

Khoobsurat or chamakdar bal pana kis ki khawahish nhi hoti. Baz log balon ko pur ronaq dekhne ke liye rozana shampoo se bal dhote hain. Bazar se milne wale us chemical shampoo ma kai kisam ke masnooi ajza mojud hote hain. Jo balon ki sakht or sir ki jild dono ko mutasir karte hain. Bazar ke shampoo ka sab se bara masla ye ha ke wo kisi detergent ki tarah kam karte hain. Is ma paye jane wale chemicals balon ma mojud tail ko nikal dete hain. Jis se sir per khushki or sir ma khoon ki gardish mutasir hoti hai. Kya ye acha na ho ke ap bazar se milne wale shampoo ki bajaye ghar ma mojud cheezon se sir dhoyen. Is tarah ap ke pese bi bachen ge or ap ke bal bi sehat mand rahen ge.

Best Homemade shampoo tyar karne ke liye mundarja zail totkay ap ke balon ko haseen sehat mand or chamak dar bana den ge:

Baking Soda

Ye sir ki khushki or balon ma se izafi tail khatam karne ke liye be had mufeed hai. Ek bara chamach baking soda ek se do cup pani ma gholen or isey apne normal shampoo ki tarah istemal karen.

Leemu or Kheera

Ye dono cheezen balon ki cleansing karti hain or balon ma se gard-o-ghubar saf kar deti hain. Leemu or kheera cheel kar blend kar len. Dono ki mikdar itni honi chahye ke ek gharha sa paste ban jaye. Kheyal rakhen ke shampoo ke bad bal achi tarah se dhul jayen ta ke leemu ke katrey balon ma na reh jayen.

Seb Ka Sirka

Seb ka sirka balon ki sehat ke liye be had mufeed hai. Agar is ma ek anda, leemu ka araq or zaitoon ka tail shamil kar diya jaye to ye balon ko pur ronaq banaye ga hi or balon ko girney se bi rokey ga.

Retha or Seeka Kai

100 gram rethey ko rat bhar pani ma bhigo den. Subah blend kar ke is ma ek se do chotey chamach seeka kai powder dal kar blend kar len or shampoo ki tarah ka paste tyar kar len.

 

Best Homemade Shampoo

homemade shampoo

best homemade shampoo

About Rizwan Arshad

Contact on +92-348-8709449 through call or whatsapp for any kind of request or assistance about urdupalace.com

Check Also

homemade anti dandruff shampoo

Natural Anti Dandruff Shampoo

Natural Anti Dandruff Shampoo   Ajzaa: Anday ki zardi: 2 adad Garam pani: 350 mili ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *